aasan nahin hai sail-e-jawani ko rokna
āsāñ nahīñ hai sail-e-javānī ko roknā
mumkin kahāñ Dhalān pe paanī ko roknā
niklegī uñgliyoñ kī darāroñ se raushnī
mushkil hai muTThiyoñ meñ nishānī ko roknā
kāġhaz pe bahne vaalī nadī par vaqār hai
āsāñ nahīñ hai us kī ravānī ko roknā
nāḳhūn likhte rahte haiñ chehroñ pe roz-o-shab
kab tak likhegā aisī kahānī ko roknā
bas meñ kahāñ kisī ke bhī beva kī aañkh se
ik ek qatra bahtī kahānī ko roknā
aasan nahin hai sail-e-jawani ko rokna
mumkin kahan Dhalan pe pani ko rokna
niklegi ungliyon ki dararon se raushni
mushkil hai muTThiyon mein nishani ko rokna
kaghaz pe bahne wali nadi par waqar hai
aasan nahin hai us ki rawani ko rokna
naKHun likhte rahte hain chehron pe roz-o-shab
kab tak likhega aisi kahani ko rokna
bas mein kahan kisi ke bhi bewa ki aankh se
ek ek qatra bahti kahani ko rokna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.