aaseb bas gaya koi aa kar makan mein
aaseb bas gayā koī aa kar makān meñ
ik naam letā rahtā hai har vaqt kaan meñ
mujh ko shigāf karnā paḌā āsmān meñ
koī ḳhalā jab hone lagā darmiyān meñ
dīvār meñ darār to aanī thī ek din
sar kab talak paTaḳhtī ḳhamoshī makān meñ
vo karb-e-ibtisām na tafhīm kar sakā
ehsās kī kamī thī mire tarjumān meñ
kuchh is sabab bhī dard kā ehsās thā ziyāñ
gard-e-safar hī rah ga.ī hāsil thakān meñ
kal shab shab-e-firāq kī mahrūmiyāñ na pūchh
tamhīd-e-hijr bhī rahī shāmil azaan meñ
chīḳhoñ se jaag uTThe ka.ī munjamid bhañvar
koī duā thamī sī rahī āsmān meñ
muddat se ḳhud-kalāmī hai 'tārā' bhī kyā kareñ
jaale se jaise paḌne lage haiñ zabān meñ
aaseb bas gaya koi aa kar makan mein
ek nam leta rahta hai har waqt kan mein
mujh ko shigaf karna paDa aasman mein
koi KHala jab hone laga darmiyan mein
diwar mein darar to aani thi ek din
sar kab talak paTaKHti KHamoshi makan mein
wo karb-e-ibtisam na tafhim kar saka
ehsas ki kami thi mere tarjuman mein
kuchh is sabab bhi dard ka ehsas tha ziyan
gard-e-safar hi rah gai hasil thakan mein
kal shab shab-e-firaq ki mahrumiyan na puchh
tamhid-e-hijr bhi rahi shamil azan mein
chiKHon se jag uTThe kai munjamid bhanwar
koi dua thami si rahi aasman mein
muddat se KHud-kalami hai 'tara' bhi kya karen
jale se jaise paDne lage hain zaban mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.