aaseb ka wahshat ke aankhon pe ijara hai
aaseb kā vahshat ke āñkhoñ pe ijārā hai
tārīk manāzir haiñ jugnū hai na taarā hai
kyā rut hai koī panchhī shāḳhoñ pe nahīñ aatā
sākit haiñ shajar saare be-rang nazārā hai
jab shahr meñ aayā hai mujh se bhī milegā vo
is aas meñ ḳhud ko bhī ghar ko bhī sañvārā hai
kuchh ashk udāsī ke hamrāh musāfir haiñ
dariyā meñ taġhāful ke chāhat kā shikārā hai
bharpūr ta.alluq kā da.avā to nahīñ karte
kuchh ham bhī usī ke haiñ kuchh vo bhī hamārā hai
din bhar kā thakā haarā phir ghar kī taraf palTā
ḳhush-rang tamanna ne har shaam pukārā hai
aaseb ka wahshat ke aankhon pe ijara hai
tarik manazir hain jugnu hai na tara hai
kya rut hai koi panchhi shaKHon pe nahin aata
sakit hain shajar sare be-rang nazara hai
jab shahr mein aaya hai mujh se bhi milega wo
is aas mein KHud ko bhi ghar ko bhi sanwara hai
kuchh ashk udasi ke hamrah musafir hain
dariya mein taghaful ke chahat ka shikara hai
bharpur talluq ka dawa to nahin karte
kuchh hum bhi usi ke hain kuchh wo bhi hamara hai
din bhar ka thaka haara phir ghar ki taraf palTa
KHush-rang tamanna ne har sham pukara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.