aaseb-sifat ye meri tanhai ajab hai
āseb-sifat ye mirī tanhā.ī 'ajab hai
har samt tirī yaad kī shahnā.ī 'ajab hai
ik bichhḌe shanāsā se mulāqāt ke bā-vasf
bikhre hue lamhoñ kī shakebā.ī 'ajab hai
ab silsila-e-ranj-o-mehan TuuT bhī jaa.e
is baar to kuchh tarz-e-pazīrā.ī 'ajab hai
ab mujh pe khulā apne dar-o-bām kā afsūñ
yuuñ hai ki mire ghar kī ye tanhā.ī 'ajab hai
sūraj se utarte haiñ mire har-bun-e-mū par
āñkheñ bhī rakhūñ band to bīnā.ī 'ajab hai
har din sitam-ījād hai har raat siyah-fām
yārab ye tirī anjuman-ārā.ī 'ajab hai
pighlā huā sonā thī jo dīvār-o-saqaf par
vo dhuup ghaḌī bhar meñ hī kajlā.ī 'ajab hai
nas nas meñ phisaltā hai tire qurb kā nashsha
har mauja-e-ḳhūñ-nāb kī gahrā.ī 'ajab hai
aaseb-sifat ye meri tanhai 'ajab hai
har samt teri yaad ki shahnai 'ajab hai
ek bichhDe shanasa se mulaqat ke ba-wasf
bikhre hue lamhon ki shakebai 'ajab hai
ab silsila-e-ranj-o-mehan TuT bhi jae
is bar to kuchh tarz-e-pazirai 'ajab hai
ab mujh pe khula apne dar-o-baam ka afsun
yun hai ki mere ghar ki ye tanhai 'ajab hai
suraj se utarte hain mere har-bun-e-mu par
aankhen bhi rakhun band to binai 'ajab hai
har din sitam-ijad hai har raat siyah-fam
yarab ye teri anjuman-arai 'ajab hai
pighla hua sona thi jo diwar-o-saqaf par
wo dhup ghaDi bhar mein hi kajlai 'ajab hai
nas nas mein phisalta hai tere qurb ka nashsha
har mauja-e-KHun-nab ki gahrai 'ajab hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 397)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.