aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte
āshiq haiñ magar ishq numāyāñ nahīñ rakhte
ham dil kī tarah chaak garebāñ nahīñ rakhte
sar rakhte haiñ sar meñ nahīñ saudā-e-mohabbat
dil rakhte haiñ dil meñ koī armāñ nahīñ rakhte
nafrat hai kuchh aisī unheñ āshufta-saroñ se
apnī bhī vo zulfoñ ko pareshāñ nahīñ rakhte
rakhne ko to rakhte haiñ ḳhabar saare jahāñ kī
ik mere hī dil kī vo ḳhabar haañ nahīñ rakhte
ghar kar ga.iiñ dil meñ vo mohabbat kī nigāheñ
un tīroñ kā zaḳhmī huuñ jo paikāñ nahīñ rakhte
dil de koī tum ko to kis ummīd par ab de
tum dil to kisī kā bhī mirī jaañ nahīñ rakhte
rahtā hai nigahbān mirā un kā tasavvur
vo mujh ko akelā shab-e-hijrāñ nahīñ rakhte
dushman to bahut hazrat-e-nāseh haiñ hamāre
haañ dost koī aap sā nādāñ nahīñ rakhte
dil ho jo pareshān to dam bhar bhī na Thahre
kuchh bāñdh ke to gesu-e-pechāñ nahīñ rakhte
go aur bhī āshiq haiñ zamāne meñ bahut se
'beḳhud' kī tarah ishq ko pinhāñ nahīñ rakhte
aashiq hain magar ishq numayan nahin rakhte
hum dil ki tarah chaak gareban nahin rakhte
sar rakhte hain sar mein nahin sauda-e-mohabbat
dil rakhte hain dil mein koi arman nahin rakhte
nafrat hai kuchh aisi unhen aashufta-saron se
apni bhi wo zulfon ko pareshan nahin rakhte
rakhne ko to rakhte hain KHabar sare jahan ki
ek mere hi dil ki wo KHabar han nahin rakhte
ghar kar gain dil mein wo mohabbat ki nigahen
un tiron ka zaKHmi hun jo paikan nahin rakhte
dil de koi tum ko to kis ummid par ab de
tum dil to kisi ka bhi meri jaan nahin rakhte
rahta hai nigahban mera un ka tasawwur
wo mujh ko akela shab-e-hijran nahin rakhte
dushman to bahut hazrat-e-naseh hain hamare
han dost koi aap sa nadan nahin rakhte
dil ho jo pareshan to dam bhar bhi na Thahre
kuchh bandh ke to gesu-e-pechan nahin rakhte
go aur bhi aashiq hain zamane mein bahut se
'beKHud' ki tarah ishq ko pinhan nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.