aashiq hue hain jab se hum KHud se ja rahe hain
āshiq hue haiñ jab se ham ḳhud se jā rahe haiñ
be-dard nāsehoñ ne nāhaq satā rahe haiñ
fasl-e-bahār meñ ham kyūñ-kar na hoñ divāne
gul chaak kar garebāñ dhūmeñ machā rahe haiñ
phir aavne kā va.ada tum kar ga.e ho ham se
pyāre tumhārī rah par āñkheñ lagā rahe haiñ
ai abr tū barastā aur hī taraf chalā jā
umDe haiñ ġham ke bādal so ham thamā rahe haiñ
dil khol Tuk jo barseñ arz o samā Dubāveñ
mizhgān-e-tar ke zālim vo abr chhā rahe haiñ
ye ishq niiñ hai bar-aks jā dekh le chaman meñ
aa ḳhush-nayan adam se āñkheñ dikhā rahe haiñ
aashiq hue hain jab se hum KHud se ja rahe hain
be-dard nasehon ne nahaq sata rahe hain
fasl-e-bahaar mein hum kyun-kar na hon diwane
gul chaak kar gareban dhumen macha rahe hain
phir aawne ka wada tum kar gae ho hum se
pyare tumhaari rah par aankhen laga rahe hain
ai abr tu barasta aur hi taraf chala ja
umDe hain gham ke baadal so hum thama rahe hain
dil khol Tuk jo barsen arz o sama Dubawen
mizhgan-e-tar ke zalim wo abr chha rahe hain
ye ishq nin hai bar-aks ja dekh le chaman mein
aa KHush-nayan adam se aankhen dikha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.