aashiq ki jaan jati hai is bankpan ko chhoD
āshiq kī jaan jaatī hai is bāñkpan ko chhoḌ
ai but ḳhudā ke vāste apne chalan ko chhoḌ
bulbul na rahm aa.egā sayyād ko kabhī
hai jaan agar aziiz to tū is chaman ko chhoḌ
us kā yahī tarīq rahā āshiqoñ ke saath
ai dil bas ab shikāyat-e-charḳh-e-kuhan ko chhoḌ
sahrā kī samt paañv baḌhe jaate haiñ dil aa
vahshat pukārtī hai ki hubbulvatan ko chhoḌ
basne ko chal tū dasht-e-ḳhizāñ-dīda meñ 'shabāb'
gulzār meñ bahār-e-gul-o-nastaran ko chhoḌ
aashiq ki jaan jati hai is bankpan ko chhoD
ai but KHuda ke waste apne chalan ko chhoD
bulbul na rahm aaega sayyaad ko kabhi
hai jaan agar aziz to tu is chaman ko chhoD
us ka yahi tariq raha aashiqon ke sath
ai dil bas ab shikayat-e-charKH-e-kuhan ko chhoD
sahra ki samt panw baDhe jate hain dil aa
wahshat pukarti hai ki hubbulwatan ko chhoD
basne ko chal tu dasht-e-KHizan-dida mein 'shabab'
gulzar mein bahaar-e-gul-o-nastaran ko chhoD
- Deewan-e-Shabab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.