aashiq to milenge tujhe insan na milega
aashiq to milenge tujhe insan na milega
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
āshiq to mileñge tujhe insāñ na milegā
mujh sā to koī banda-e-farmāñ na milegā
huuñ muntazir-e-lutf khaḌā kab se idhar dekh
kyā mujh ko dil ai turra-e-jānāñ na milegā
kahne ko musalmāñ haiñ sabhī kaabe meñ lekin
DhūñDoge agar ek musalmāñ na milegā
nāseh ise siinā hai to ab sī le vagarna
phir fasl-e-gul aa.e ye garebāñ na milegā
rahne ke liye ham se gunahgāroñ ke yā rab
kyā shahr-e-adam meñ koī zindāñ na milegā
hone kī nahīñ terī ḳhushī sarv-ḳhirāmāñ
tā ḳhaak meñ ye be-sar-o-sāmāñ na milegā
dil us se tū māñge hai abas 'mus.hafī' har dam
kyā fā.eda isrār kā nādāñ na milegā
aashiq to milenge tujhe insan na milega
mujh sa to koi banda-e-farman na milega
hun muntazir-e-lutf khaDa kab se idhar dekh
kya mujh ko dil ai turra-e-jaanan na milega
kahne ko musalman hain sabhi kabe mein lekin
DhunDoge agar ek musalman na milega
naseh ise sina hai to ab si le wagarna
phir fasl-e-gul aae ye gareban na milega
rahne ke liye hum se gunahgaron ke ya rab
kya shahr-e-adam mein koi zindan na milega
hone ki nahin teri KHushi sarw-KHiraman
ta KHak mein ye be-sar-o-saman na milega
dil us se tu mange hai abas 'mushafi' har dam
kya faeda israr ka nadan na milega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.