aashiqi ek azab hai yaro
'āshiqī ik 'azāb hai yaaro
dil kā ḳhāna-ḳharāb hai yaaro
chain aa.egā kyoñ bhalā dil ko
māh-ruḳh be-hijāb hai yaaro
chhīn letī hai aadmī kā vaqār
muflisī bhī 'azāb hai yaaro
dekh kar surḳhī-e-lab-e-jānāñ
aa.ina lā-javāb hai yaaro
kyoñ na marne se jī lagā.eñ ham
zindagī ġham kā baab hai yaaro
har baras zindagī kā biitā huā
dard-e-dil kā hisāb hai yaaro
'ishq kahte haiñ us musībat ko
dard jis kā nisāb hai yaaro
hijr kā kyoñ 'azāb hai dil par
husn gar ik sarāb hai yaaro
bāġh-e-hastī meñ fikr-e-karb-o-balā
āgahī kā shabāb hai yaaro
is liye bhī 'ajīb hai 'jā'far'
us kī duniyā kitāb hai yaaro
'ashiqi ek 'azab hai yaro
dil ka KHana-KHarab hai yaro
chain aaega kyon bhala dil ko
mah-ruKH be-hijab hai yaro
chhin leti hai aadmi ka waqar
muflisi bhi 'azab hai yaro
dekh kar surKHi-e-lab-e-jaanan
aaina la-jawab hai yaro
kyon na marne se ji lagaen hum
zindagi gham ka bab hai yaro
har baras zindagi ka bita hua
dard-e-dil ka hisab hai yaro
'ishq kahte hain us musibat ko
dard jis ka nisab hai yaro
hijr ka kyon 'azab hai dil par
husn gar ek sarab hai yaro
bagh-e-hasti mein fikr-e-karb-o-bala
aagahi ka shabab hai yaro
is liye bhi 'ajib hai 'ja'far'
us ki duniya kitab hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.