aashiqi ka ye dard-e-sar jae
'āshiqī kā ye dard-e-sar jaa.e
maiñ bhī mar jā.ūñ tū bhī mar jaa.e
aa.iye ḳhud ko DhūñD lete haiñ
is se pahle ki din guzar jaa.e
tai kiyā hai ki ham na bikhreñge
aa.ina Tuut kar bikhar jaa.e
ye batāo kahīñ sukūn bhī hai
aadmī jaa.e to kidhar jaa.e
is liye sab se hoshiyār raho
kyā ḳhabar kaun daao kar jaa.e
shor karnā hī kyā zarūrī hai
vaqt ārām se guzar jaa.e
aadmī huuñ koī machine nahīñ
merā ehsās kaise mar jaa.e
'ashiqi ka ye dard-e-sar jae
main bhi mar jaun tu bhi mar jae
aaiye KHud ko DhunD lete hain
is se pahle ki din guzar jae
tai kiya hai ki hum na bikhrenge
aaina Tut kar bikhar jae
ye batao kahin sukun bhi hai
aadmi jae to kidhar jae
is liye sab se hoshiyar raho
kya KHabar kaun dao kar jae
shor karna hi kya zaruri hai
waqt aaram se guzar jae
aadmi hun koi machine nahin
mera ehsas kaise mar jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.