aashiqi mein hai jaan ka khaTka
āshiqī meñ hai jaan kā khaTkā
aur bhī kuchh burā bhalā khaTkā
yaar sayyād bāġhbāñ kā huā
ye nayā aur ik bañdhā khaTkā
kaan aahaT kī raah se na haTe
dil meñ thā kis ke aane kā khaTkā
vahī kāvish mizha ne kī āḳhir
jis kā avval se dil meñ thā khaTkā
bulbul-e-pāk-bīñ hai āshiq-e-gul
bāġhbāñ tū na khaTkhaTā khaTkā
be tire yaar sair-e-gulshan meñ
phuul āñkhoñ meñ ḳhaar sā khaTkā
tujh ko dekhā uThā uThā kar sar
saañs kā bhī agar huā khaTkā
ishq ke haiñ 'vaqār' chaar unsur
ḳhauf andesha-o-daġhā khaTkā
aashiqi mein hai jaan ka khaTka
aur bhi kuchh bura bhala khaTka
yar sayyaad baghban ka hua
ye naya aur ek bandha khaTka
kan aahaT ki rah se na haTe
dil mein tha kis ke aane ka khaTka
wahi kawish mizha ne ki aaKHir
jis ka awwal se dil mein tha khaTka
bulbul-e-pak-bin hai aashiq-e-gul
baghban tu na khaTkhaTa khaTka
be tere yar sair-e-gulshan mein
phul aankhon mein KHar sa khaTka
tujh ko dekha uTha uTha kar sar
sans ka bhi agar hua khaTka
ishq ke hain 'waqar' chaar unsur
KHauf andesha-o-dagha khaTka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.