aashiqon ki bhiD mein bhi saf pahchane gae
āshiqoñ kī bhiiḌ meñ bhī saaf pahchāne ga.e
sham' jab raushan huī marne ko parvāne ga.e
shodh karne ke liye jab log pahuñche chāñd par
ham bhī mangal tak tirangā yaar lahrāne ga.e
'ishq meñ is hausle kī daad ham ko aap deñ
jab unhoñ ne chāñd māñgā āsmāñ laane ga.e
yuuñ shahīdoñ vaalā jazba bhī hamāre dil meñ thā
vaqt jab aaya ḳhud apnā shīsh kaTvāne ga.e
ḳhvāb ham ne yuuñ to dekhe āsmāñ se bhī baḌe
par hamesha hī zamīñ ke naam se jaane ga.e
dil se apne thā vo muflis ham samajh paa.e nahīñ
ḳhud tamāsha hī bane jo haath phailāne ga.e
'ishq meñ nākām honā hī faqat taqdīr thī
ham jahāñ pahuñche hamāre saath vīrāne ga.e
dard hai 'mīnā' milā aisā davā jis kī nahīñ
DhūñDhne phir bhī davā ham roz maiḳhāne ga.e
aashiqon ki bhiD mein bhi saf pahchane gae
sham' jab raushan hui marne ko parwane gae
shodh karne ke liye jab log pahunche chand par
hum bhi mangal tak tiranga yar lahrane gae
'ishq mein is hausle ki dad hum ko aap den
jab unhon ne chand manga aasman lane gae
yun shahidon wala jazba bhi hamare dil mein tha
waqt jab aaya KHud apna shish kaTwane gae
KHwab hum ne yun to dekhe aasman se bhi baDe
par hamesha hi zamin ke nam se jaane gae
dil se apne tha wo muflis hum samajh pae nahin
KHud tamasha hi bane jo hath phailane gae
'ishq mein nakaam hona hi faqat taqdir thi
hum jahan pahunche hamare sath virane gae
dard hai 'mina' mila aisa dawa jis ki nahin
DhunDhne phir bhi dawa hum roz maiKHane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.