aashiyan jal gaya, gulsitan luT gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
aashiyan jal gaya, gulsitan luT gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
Raaz Allahabadi
MORE BYRaaz Allahabadi
āshiyāñ jal gayā, gulsitāñ luT gayā, ham qafas se nikal kar kidhar jā.eñge
itne mānūs sayyād se ho ga.e, ab rihā.ī milegī to mar jā.eñge
aur kuchh din ye dastūr-e-mai-ḳhāna hai, tishna-kāmī ke ye din guzar jā.eñge
mere saaqī ko nazreñ uThāne to do, jitne ḳhālī haiñ sab jaam bhar jā.eñge
ai nasīm-e-sahar tujh ko un kī qasam, un se jā kar na kahnā mirā hāl-e-ġham
apne miTne kā ġham to nahīñ hai magar, Dar ye hai un ke gesū bikhar jā.eñge
ashk-e-ġham le ke āḳhir kidhar jaa.eñ ham, āñsuoñ kī yahāñ koī qīmat nahīñ
aap hī apnā dāman baḌhā dījiye, varna motī zamīñ par bikhar jā.eñge
kaale kaale vo gesū shikan-dar-shikan, vo tabassum kā aalam chaman-dar-chaman
khīñch lī un kī tasvīr dil ne mire, ab vo dāman bachā kar kidhar jā.eñge
aashiyan jal gaya, gulsitan luT gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge
itne manus sayyaad se ho gae, ab rihai milegi to mar jaenge
aur kuchh din ye dastur-e-mai-KHana hai, tishna-kaami ke ye din guzar jaenge
mere saqi ko nazren uThane to do, jitne KHali hain sab jam bhar jaenge
ai nasim-e-sahar tujh ko un ki qasam, un se ja kar na kahna mera haal-e-gham
apne miTne ka gham to nahin hai magar, Dar ye hai un ke gesu bikhar jaenge
ashk-e-gham le ke aaKHir kidhar jaen ham, aansuon ki yahan koi qimat nahin
aap hi apna daman baDha dijiye, warna moti zamin par bikhar jaenge
kale kale wo gesu shikan-dar-shikan, wo tabassum ka aalam chaman-dar-chaman
khinch li un ki taswir dil ne mire, ab wo daman bacha kar kidhar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.