aashiyan tha humse hum the aashiyane ke liye
aashiyan tha humse hum the aashiyane ke liye
Habibur Rahman Siddiqui
MORE BYHabibur Rahman Siddiqui
āshiyāñ thā ham se ham the āshiyāne ke liye
roiye kyā ab qafas meñ is zamāne ke liye
kār-farmā haiñ niyāz-e-ishq kī majbūriyāñ
sajde le kar maiñ chalā thā āstāne ke liye
kashmakash meñ hai hayāt-o-maut kī jān-e-hazīñ
aap aa jaa.eñ zarā qissa chukāne ke liye
koī hotā hai ḳharīdār-e-matā.a-e-ahl-e-dil
daulat-e-dārain laate haiñ luTāne ke liye
ho qafas kī tīliyoñ par bhī nigāh-e-lutf-e-barq
kyā nasheman hī ke tinke the jalāne ke liye
aashiyan tha hum se hum the aashiyane ke liye
roiye kya ab qafas mein is zamane ke liye
kar-farma hain niyaz-e-ishq ki majburiyan
sajde le kar main chala tha aastane ke liye
kashmakash mein hai hayat-o-maut ki jaan-e-hazin
aap aa jaen zara qissa chukane ke liye
koi hota hai KHaridar-e-mataa-e-ahl-e-dil
daulat-e-darain late hain luTane ke liye
ho qafas ki tiliyon par bhi nigah-e-lutf-e-barq
kya nasheman hi ke tinke the jalane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.