aashiyan ujDa mera to kya hua
āshiyāñ ujḌā mirā to kyā huā
ġham to is kā hai chaman sahrā huā
thā kuchh aisā hī taqāzā ishq kā
ham ne dekhā apnā ghar luTtā huā
thā kabhī dil ek shahr-e-ārzū
rafta rafta yaas kā sahrā huā
zarra zarra hai dil-e-betāb sā
ik jahāñ hai dard kā maarā huā
kyā ḳhabar thī hogā manzil kā charāġh
ik musāfir rāsta bhaTkā huā
zabt-e-dil kā hausla to dekhiye
ġham kā dariyā hai abhī Thahrā huā
aa.ine ko dekh kar sharmā ga.e
aap ko shāyad mirā dhokā huā
apnī rusvā.ī se maiñ ḳhush huuñ 'nazīr'
ġham to ye hai un kā ġham rusvā huā
aashiyan ujDa mera to kya hua
gham to is ka hai chaman sahra hua
tha kuchh aisa hi taqaza ishq ka
hum ne dekha apna ghar luTta hua
tha kabhi dil ek shahr-e-arzu
rafta rafta yas ka sahra hua
zarra zarra hai dil-e-betab sa
ek jahan hai dard ka mara hua
kya KHabar thi hoga manzil ka charagh
ek musafir rasta bhaTka hua
zabt-e-dil ka hausla to dekhiye
gham ka dariya hai abhi Thahra hua
aaine ko dekh kar sharma gae
aap ko shayad mera dhoka hua
apni ruswai se main KHush hun 'nazir'
gham to ye hai un ka gham ruswa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.