aashiyane ki jab bhi yaad aai
āshiyāne kī jab bhī yaad aa.ī
ek bijlī sī dil meñ lahrā.ī
yuuñ bhī dekhā gayā hai mahfil meñ
vo tamāshā the ham tamāshā.ī
tere āñchal kā jis pe saaya ho
us gadā par nisār dārā.ī
ham ne dāman hī jā liyā un kā
log karte rahe jabīñ-sā.ī
māh-o-anjum meñ lāla-o-gul meñ
ham ko terī jhalak nazar aa.ī
dost aa.e the mujh ko samjhā ne
haal dekhā to aañkh bhar aa.ī
chhā ga.iiñ mastiyāñ fazāoñ meñ
tere dāman kī jab havā aa.ī
jo mohabbat meñ miT gayā 'sābir'
us ne mar kar bhī zindagī paa.ī
aashiyane ki jab bhi yaad aai
ek bijli si dil mein lahrai
yun bhi dekha gaya hai mahfil mein
wo tamasha the hum tamashai
tere aanchal ka jis pe saya ho
us gada par nisar darai
hum ne daman hi ja liya un ka
log karte rahe jabin-sai
mah-o-anjum mein lala-o-gul mein
hum ko teri jhalak nazar aai
dost aae the mujh ko samjha ne
haal dekha to aankh bhar aai
chha gain mastiyan fazaon mein
tere daman ki jab hawa aai
jo mohabbat mein miT gaya 'sabir'
us ne mar kar bhi zindagi pai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.