aashiyane ki KHair ho maula
āshiyāne kī ḳhair ho maulā
har Thikāne kī ḳhair ho maulā
kaalī āñdhī kī phir se aamad hai
shāmiyāne kī ḳhair ho maulā
bastī vāloñ ke haath patthar haiñ
ik divāne kī ḳhair ho maulā
ḳhuuñ pasīna lagā hai fasloñ par
daane daane kī ḳhair ho maulā
is zamāne kā allah hāfiz hai
is zamāne kī ḳhair ho maulā
āj-kal vo lagā hai koshish meñ
duur jaane kī ḳhair ho maulā
chakkī chaltī rahe mohabbat kī
kār-ḳhāne kī ḳhair ho maulā
aashiyane ki KHair ho maula
har Thikane ki KHair ho maula
kali aandhi ki phir se aamad hai
shamiyane ki KHair ho maula
basti walon ke hath patthar hain
ek diwane ki KHair ho maula
KHun pasina laga hai faslon par
dane dane ki KHair ho maula
is zamane ka allah hafiz hai
is zamane ki KHair ho maula
aaj-kal wo laga hai koshish mein
dur jaane ki KHair ho maula
chakki chalti rahe mohabbat ki
kar-KHane ki KHair ho maula
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.