aashna dil ko jalane aae
āshnā dil ko jalāne aa.e
tere qisse hī sunāne aa.e
dil hī dil meñ hai pashemāñ dono
kaun ab kis ko manāne aa.e
kuchh to milne kī ho sūrat paidā
tark-e-ulfat ke bahāne aa.e
ik tamannā hai ki ab maiñ rūThūñ
aur vo mujh ko manāne aa.e
merī nīñdoñ meñ vo shāmil ho kar
mujh ko mujh se hī churāne aa.e
phir fazā us ke badan sī mahkī
phir bahāroñ ke zamāne aa.e
aashna dil ko jalane aae
tere qisse hi sunane aae
dil hi dil mein hai pasheman dono
kaun ab kis ko manane aae
kuchh to milne ki ho surat paida
tark-e-ulfat ke bahane aae
ek tamanna hai ki ab main ruThun
aur wo mujh ko manane aae
meri nindon mein wo shamil ho kar
mujh ko mujh se hi churane aae
phir faza us ke badan si mahki
phir bahaaron ke zamane aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.