aashna kahne se koi aashna hota nahin
āshnā kahne se koī āshnā hotā nahīñ
pūjiye jitnā magar patthar ḳhudā hotā nahīñ
fitna-andāzī se mat pheñko tabassum ko idhar
barq se raushan kisī ghar kā diyā hotā nahīñ
kāñch bantā hai chhaTā se apnī hiire kā javāb
aadmī jur.at na ho to kaam kā hotā nahīñ
vaza-dārī se na hogā aadmī ik jānvar
jāma-e-athar se koī pārsā hotā nahīñ
kuchh to hai matlab ki merā naam lab par aa gayā
kaam duniyā ko koī be-mudda.ā hotā nahīñ
ho na ho 'rāzī' judā ma.anā haiñ un kī baat ke
badduā se un kī apnā kuchh burā hotā nahīñ
aashna kahne se koi aashna hota nahin
pujiye jitna magar patthar KHuda hota nahin
fitna-andazi se mat phenko tabassum ko idhar
barq se raushan kisi ghar ka diya hota nahin
kanch banta hai chhaTa se apni hire ka jawab
aadmi jurat na ho to kaam ka hota nahin
waza-dari se na hoga aadmi ek jaanwar
jama-e-athar se koi parsa hota nahin
kuchh to hai matlab ki mera nam lab par aa gaya
kaam duniya ko koi be-muddaa hota nahin
ho na ho 'raazi' juda mana hain un ki baat ke
baddua se un ki apna kuchh bura hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.