aashna mujhe se har ek hur-e-jinan pahle se hai
āshnā mujhe se har ik hūr-e-jināñ pahle se hai
jannatī huuñ merā jannat meñ makāñ pahle se hai
aag siine meñ mohabbat kī nihāñ pahle se hai
go nazar aatā nahīñ lekin dhuāñ pahle se hai
saiñkaḌoñ maujūd haiñ mushtāq-e-dīd-e-rū-e-dost
un kī mahfil meñ hujūm-e-‘āshiqāñ pahle se hai
kyā dikhā.ūñ maiñ use apnā kaleja chiir kar
kab yaqīñ aa.egā us ko bad-gumāñ pahle se hai
terā vahshī kyā karegā apnā dāman tār-tār
josh-e-vahshat meñ garebāñ dhajjiyāñ pahle se hai
yuuñ mujhe Tikte na detā fasl-e-gul meñ bāġhbāñ
vo to yuuñ kahiye chaman meñ āshiyāñ pahle se hai
dekhtī hai chaar tinke bhī kaḌak kar ġhaur se
āshiyāñ kī fikr meñ barq-e-tapāñ pahle se hai
dard kī shiddat hai dil meñ yā-ilāhī ḳhair ho
ibtidā-e-'ishq hai yā imtihāñ pahle se hai
bazm meñ 'ārif' kī kyoñ hotī hai ye āo-bhagat
ġhāliban us par nigāh-e-dostāñ pahle se hai
aashna mujhe se har ek hur-e-jinan pahle se hai
jannati hun mera jannat mein makan pahle se hai
aag sine mein mohabbat ki nihan pahle se hai
go nazar aata nahin lekin dhuan pahle se hai
sainkaDon maujud hain mushtaq-e-did-e-ru-e-dost
un ki mahfil mein hujum-e-‘ashiqan pahle se hai
kya dikhaun main use apna kaleja chir kar
kab yaqin aaega us ko bad-guman pahle se hai
tera wahshi kya karega apna daman tar-tar
josh-e-wahshat mein gareban dhajjiyan pahle se hai
yun mujhe Tikte na deta fasl-e-gul mein baghban
wo to yun kahiye chaman mein aashiyan pahle se hai
dekhti hai chaar tinke bhi kaDak kar ghaur se
aashiyan ki fikr mein barq-e-tapan pahle se hai
dard ki shiddat hai dil mein ya-ilahi KHair ho
ibtida-e-'ishq hai ya imtihan pahle se hai
bazm mein 'arif' ki kyon hoti hai ye aao-bhagat
ghaaliban us par nigah-e-dostan pahle se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.