aashuftagi phir aaj mana le gai mujhe
āshuftagī phir aaj manā le ga.ī mujhe
ik bū-e-rah-guzār-e-balā le ga.ī mujhe
jaanā thā maiñ ne maiñ tire qadmoñ kī dhuul huuñ
duniyā samajh ke phuul uThā le ga.ī mujhe
chāragaroñ ko merī havā tak na mil sakī
chupke se koī shām-e-balā le ga.ī mujhe
tujh ko pukārnā thā na dasht-e-talab meñ dost
duur aur tujh se terī sadā le ga.ī mujhe
ab anjuman meñ baiThā huuñ gum-sum kahūñ bhī kyā
duzdīda ik udāsī churā le ga.ī mujhe
rakhtā bhī kaun pyāse savāloñ kī aabrū
bas merī ḳhāmushī hī nibhā le ga.ī mujhe
us meñ kisī talab kā 'musavvir' na thā savāl
mai-ḳhāne ek laġhzish-e-pā le ga.ī mujhe
aashuftagi phir aaj mana le gai mujhe
ek bu-e-rah-guzar-e-bala le gai mujhe
jaana tha main ne main tere qadmon ki dhul hun
duniya samajh ke phul uTha le gai mujhe
chaaragaron ko meri hawa tak na mil saki
chupke se koi sham-e-bala le gai mujhe
tujh ko pukarna tha na dasht-e-talab mein dost
dur aur tujh se teri sada le gai mujhe
ab anjuman mein baiTha hun gum-sum kahun bhi kya
duzdida ek udasi chura le gai mujhe
rakhta bhi kaun pyase sawalon ki aabru
bas meri KHamushi hi nibha le gai mujhe
us mein kisi talab ka 'musawwir' na tha sawal
mai-KHane ek laghzish-e-pa le gai mujhe
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 37)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.