aasman aatish-e-zulmat mein jal jae to
āsmāñ ātish-e-zulmāt meñ jal jaa.e to
ḳhanda-e-sub.h kī tasvīr badal jaa.e to
ab to ārām qayāmat pe huā hai mauqūf
aur ye āḳhirī ummīd bhī Tal jaa.e to
aks ā.īne meñ aur aks meñ ruup us kā hai
kabhī ye aa.ina āñkhoñ se badal jaa.e to
ye jo dam saadh ke baiThe haiñ use dekhne ko
pattharoñ kī bhī kahīñ aah nikal jaa.e to
ham se āvāra-e-ġhurbat se mohabbat na karo
kyā ho jo ret ye muTThī se nikal jaa.e to
aasman aatish-e-zulmat mein jal jae to
KHanda-e-subh ki taswir badal jae to
ab to aaram qayamat pe hua hai mauquf
aur ye aaKHiri ummid bhi Tal jae to
aks aaine mein aur aks mein rup us ka hai
kabhi ye aaina aankhon se badal jae to
ye jo dam sadh ke baiThe hain use dekhne ko
pattharon ki bhi kahin aah nikal jae to
hum se aawara-e-ghurbat se mohabbat na karo
kya ho jo ret ye muTThi se nikal jae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.