aasman ho ke bhi zamin hona
āsmāñ ho ke bhī zamīñ honā
ik yahī hai tire qarīñ honā
saarī duniyā pe harf aa.egā
is qadar bhī na tum hasīñ honā
vāqi.a kuchh ajiib lagtā hai
terā aanā mirā kahīñ honā
achchhe vaqtoñ kī ik nishānī hai
dostoñ kā bahut nahīñ honā
ḳhush dinoñ meñ tumheñ ‘umar-farhat'
dekhā jaatā nahīñ hazīñ honā
aasman ho ke bhi zamin hona
ek yahi hai tere qarin hona
sari duniya pe harf aaega
is qadar bhi na tum hasin hona
waqia kuchh ajib lagta hai
tera aana mera kahin hona
achchhe waqton ki ek nishani hai
doston ka bahut nahin hona
KHush dinon mein tumhein ‘umar-farhat'
dekha jata nahin hazin hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.