āsmāñ par jo chāñd taare haiñ
merī aahoñ ke kuchh sharāre haiñ
hāsil-e-zindagī haiñ vo lamhāt
jo tirī bazm meñ guzāre haiñ
aap to haar kar bhī jiit ga.e
ham magar jiit kar bhī haare haiñ
kaun suntā hamārī duniyā meñ
jab taraf-dār sab tumhāre haiñ
aish-o-ishrat meñ khelne vaalo
lākhoñ insān ġham ke maare haiñ
kaun samjhegā dāstān-e-junūñ
ye to mub.ham se chand ishāre haiñ
ḳhūb-sūrat chaman meñ bhī 'ābid'
kis qadar dil-shikan nazāre haiñ
aasman par jo chand tare hain
meri aahon ke kuchh sharare hain
hasil-e-zindagi hain wo lamhat
jo teri bazm mein guzare hain
aap to haar kar bhi jit gae
hum magar jit kar bhi haare hain
kaun sunta hamari duniya mein
jab taraf-dar sab tumhaare hain
aish-o-ishrat mein khelne walo
lakhon insan gham ke mare hain
kaun samjhega dastan-e-junun
ye to mubham se chand ishaare hain
KHub-surat chaman mein bhi 'abid'
kis qadar dil-shikan nazare hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.