aasman ruTha hua roe zamin ruThi hui
āsmāñ rūThā huā ro.e zamīn rūThī huī
ik balā uftādgān-e-ishq par utrī huī
vo sitam-pesha tamalluq-ḳhū karam-nā-āshnā
merī ḳhuddārī ḳhudī ke soz meñ Duubī huī
zehn-o-dil us kī adā-e-dil-navāzī par nisār
aur zanjīr-e-ġhulāmī paañv meñ bajtī huī
baḳhshtī hai mujh ko ādāb-e-mohabbat kā shu.ūr
āñdhiyoñ meñ ek titlī phuul se lipTī huī
tiir hai TuuTī kamānoñ se koī chhoḌā huā
yā kisī qātil-adā kī ik nazar uḌtī huī
surḳh patthar kī fasīleñ tāj-mahaloñ kā surūr
yād-e-māzī dāstāñ-dar-dāstāñ phailī huī
pyaas se pazhmurda jaise ek rūd-e-regzār
ik nadī kohsār se niklī huī bhaTkī huī
lailā-e-manzil talak kitne nishāñ kitne nuqūsh
rāstoñ meñ jā-ba-jā ḳhushbū tirī bikhrī huī
kyā hasham kyā ḳhāk-rū ḳhāKī hue sab zer-e-ḳhāk
ġhaur kar 'bazmī' ki ye duniyā bhalā kis kī huī
aasman ruTha hua roe zamin ruThi hui
ek bala uftadgan-e-ishq par utri hui
wo sitam-pesha tamalluq-KHu karam-na-ashna
meri KHuddari KHudi ke soz mein Dubi hui
zehn-o-dil us ki ada-e-dil-nawazi par nisar
aur zanjir-e-ghulami panw mein bajti hui
baKHshti hai mujh ko aadab-e-mohabbat ka shuur
aandhiyon mein ek titli phul se lipTi hui
tir hai TuTi kamanon se koi chhoDa hua
ya kisi qatil-ada ki ek nazar uDti hui
surKH patthar ki fasilen taj-mahalon ka surur
yaad-e-mazi dastan-dar-dastan phaili hui
pyas se pazhmurda jaise ek rud-e-regzar
ek nadi kohsar se nikli hui bhaTki hui
laila-e-manzil talak kitne nishan kitne nuqush
raston mein ja-ba-ja KHushbu teri bikhri hui
kya hasham kya KHak-ru KHaKi hue sab zer-e-KHak
ghaur kar 'bazmi' ki ye duniya bhala kis ki hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.