aasman se gira diya mujhko
āsmāñ se girā diyā mujh ko
is takabbur ne kyā diyā mujh ko
kitnā gumrāh ho gayā thā maiñ
us ne ḳhud se milā diyā mujh ko
maiñ kisī tarah mutma.in na huā
ḳhvāhishoñ ne jalā diyā mujh ko
yūñhī samt-e-safar nahīñ miltī
marhaloñ ne jatā diyā mujh ko
us ne bas ik nazar hī Daalī thī
aur patthar banā diyā mujh ko
aasman se gira diya mujh ko
is takabbur ne kya diya mujh ko
kitna gumrah ho gaya tha main
us ne KHud se mila diya mujh ko
main kisi tarah mutmain na hua
KHwahishon ne jala diya mujh ko
yunhi samt-e-safar nahin milti
marhalon ne jata diya mujh ko
us ne bas ek nazar hi Dali thi
aur patthar bana diya mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.