aasman se koi tara jo sarak jata hai
āsmāñ se koī taarā jo sarak jaatā hai
aan kī aan meñ ḳhud par mirā shak jaatā hai
bhed kyā kyā haiñ tire shahr meñ aur jangal meñ
aadmī jā ke vahāñ rasta bhaTak jaatā hai
god meñ letā huuñ aur giit sunātā huuñ use
chalte chalte kabhī dariyā bhī to thak jaatā hai
muuñd lete haiñ baneroñ pe kabūtar āñkheñ
dhyān kī chuuk koī panchhī uchak jaatā hai
vahm-e-ḳhush-qāmatī bhī tū ne diyā thā mujh ko
haath ab kyoñ mire shāne se sarak jaatā hai
gul-e-tāza kī tarah vasl kī jab os paḌe
rang us shoḳh kā kuchh aur bhaḌak jaatā hai
aisī ḳhāmoshī hai nau-zā.ida sayyāre par
apnī aahaT se bhī dil apnā ThiThak jaatā hai
vaqt ke dasht meñ uḌte hue lamhoñ kā ġhubār
aañkh meñ aTtā hai hoñToñ pe chipak jaatā hai
aasman se koi tara jo sarak jata hai
aan ki aan mein KHud par mera shak jata hai
bhed kya kya hain tere shahr mein aur jangal mein
aadmi ja ke wahan rasta bhaTak jata hai
god mein leta hun aur git sunata hun use
chalte chalte kabhi dariya bhi to thak jata hai
mund lete hain baneron pe kabutar aankhen
dhyan ki chuk koi panchhi uchak jata hai
wahm-e-KHush-qamati bhi tu ne diya tha mujh ko
hath ab kyon mere shane se sarak jata hai
gul-e-taza ki tarah wasl ki jab os paDe
rang us shoKH ka kuchh aur bhaDak jata hai
aisi KHamoshi hai nau-zaida sayyare par
apni aahaT se bhi dil apna ThiThak jata hai
waqt ke dasht mein uDte hue lamhon ka ghubar
aankh mein aTta hai honTon pe chipak jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.