aasman TuT paDa hai chhat par
āsmāñ TuuT paḌā hai chhat par
mutma.in huuñ ki ḳhudā hai chhat par
ye Tapakne kī nahīñ hai pyāre
kasrat-e-zar kī duā hai chhat par
mujh meñ ab tak hai yahī ḳhauf basā
chīḳh meñ Duubī sadā hai chhat par
ek muflis ne kahā bārish se
dekh merā bhī ḳhudā hai chhat par
vaqt nīche bhī utāregā use
umr bhar kaun rahegā chhat par
mahv-e-hairat hai har ik bīnā.ī
koī to khel bapā hai chhat par
raah meñ aa.e to lagtā hai bhalā
dekhne meñ jo burā hai chhat par
chāñd utrā hai mire pahlū meñ
nuur meñ Duubī fazā hai chhat par
jab se raste pe lagī haiñ nazreñ
rāsta bantā gayā hai chhat par
habs kamre kā batāne aayā
mohtaram aaj huā hai chhat par
shauq se dekh rahī hai duniyā
husn-e-tasvīr banā hai chhat kar
ye bhī ruḳhsat kā ajab lamha hai
shahr kā shahr khaḌā hai chhat par
vaqt raste se uThā laayā hai
dekh 'shāhid' bhī gayā hai chhat par
aasman TuT paDa hai chhat par
mutmain hun ki KHuda hai chhat par
ye Tapakne ki nahin hai pyare
kasrat-e-zar ki dua hai chhat par
mujh mein ab tak hai yahi KHauf basa
chiKH mein Dubi sada hai chhat par
ek muflis ne kaha barish se
dekh mera bhi KHuda hai chhat par
waqt niche bhi utarega use
umr bhar kaun rahega chhat par
mahw-e-hairat hai har ek binai
koi to khel bapa hai chhat par
rah mein aae to lagta hai bhala
dekhne mein jo bura hai chhat par
chand utra hai mere pahlu mein
nur mein Dubi faza hai chhat par
jab se raste pe lagi hain nazren
rasta banta gaya hai chhat par
habs kamre ka batane aaya
mohtaram aaj hua hai chhat par
shauq se dekh rahi hai duniya
husn-e-taswir bana hai chhat kar
ye bhi ruKHsat ka ajab lamha hai
shahr ka shahr khaDa hai chhat par
waqt raste se uTha laya hai
dekh 'shahid' bhi gaya hai chhat par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.