aasmanon ki ziya nur ke paikar KHamosh
āsmānoñ kī ziyā nuur ke paikar ḳhāmosh
tīrgī vo ki umañDtā huā lashkar ḳhāmosh
zindagī aur udhar aur udhar dekh zarā
mujh se miltā huā ik shaḳhs hai bāhar ḳhāmosh
rāsta roke khaḌe haiñ mire a.azā-e-badan
dhuup ḳhāmosh tire shahr ke patthar ḳhāmosh
dil kī be-nūr fazāoñ ko pur-anvār to kar
pheñk de ḳhema-e-jāñ meñ koī ḳhanjar ḳhāmosh
be-rahm raat kī pur-haul guzar-gāhoñ se
maiñ bhī guzrā huuñ ka.ī baar khule sar ḳhāmosh
is ḳharābe meñ bhalā dād-e-suḳhan deñ kis ko
dard uThtā hai bahut aur hai nashtar ḳhāmosh
shaam ke rang ghaTāoñ meñ ghule jaate haiñ
kohr kī dhund meñ phailā hai samundar ḳhāmosh
āḳhirī jur.a-e-pur-kaif hai baaqī 'ajmal'
āḳhirī baar dikhā de koī manzar ḳhāmosh
aasmanon ki ziya nur ke paikar KHamosh
tirgi wo ki umanDta hua lashkar KHamosh
zindagi aur udhar aur udhar dekh zara
mujh se milta hua ek shaKHs hai bahar KHamosh
rasta roke khaDe hain mere aaza-e-badan
dhup KHamosh tere shahr ke patthar KHamosh
dil ki be-nur fazaon ko pur-anwar to kar
phenk de KHema-e-jaan mein koi KHanjar KHamosh
be-rahm raat ki pur-haul guzar-gahon se
main bhi guzra hun kai bar khule sar KHamosh
is KHarabe mein bhala dad-e-suKHan den kis ko
dard uThta hai bahut aur hai nashtar KHamosh
sham ke rang ghaTaon mein ghule jate hain
kohr ki dhund mein phaila hai samundar KHamosh
aaKHiri jura-e-pur-kaif hai baqi 'ajmal'
aaKHiri bar dikha de koi manzar KHamosh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.