aasmanon mein bhi darwaza laga kar dekhen
āsmānoñ meñ bhī darvāza lagā kar dekheñ
qāmat-e-husn kā andāza lagā kar dekheñ
ishq to apne lahū meñ hī sañvartā hai so ham
kis liye ruḳh pe koī ġhāza lagā kar dekheñ
ain mumkin hai ki joḌe se ziyāda mahke
apne collar meñ gul-e-tāza lagā kar dekheñ
bāz-gasht apnī hī āvāz kī ilhām na ho
vādī-e-zāt meñ āvāza lagā kar dekheñ
aasmanon mein bhi darwaza laga kar dekhen
qamat-e-husn ka andaza laga kar dekhen
ishq to apne lahu mein hi sanwarta hai so hum
kis liye ruKH pe koi ghaza laga kar dekhen
ain mumkin hai ki joDe se ziyaada mahke
apne collar mein gul-e-taza laga kar dekhen
baz-gasht apni hi aawaz ki ilham na ho
wadi-e-zat mein aawaza laga kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.