aasmanon pe faqat chand sitare nikle
āsmānoñ pe faqat chāñd sitāre nikle
merī āñkhoñ meñ to tum in se bhī pyāre nikle
apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe
mire andar se sabhī rañg tumhāre nikle
ham ne mahsūs kiyā hī thā tujhe aaj kī shaam
jo huī raat to palkoñ pe sitāre nikle
mujh meñ ik roz koī qatl huā thā aur phir
merī āñkhoñ se bahut ḳhuun ke dhāre nikle
maiñ ne sochā thā ki nam-ḳhurda hai merī miTTī
chhū ke dekhā to tah-e-ḳhāk sharāre nikle
aasmanon pe faqat chand sitare nikle
meri aankhon mein to tum in se bhi pyare nikle
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
hum ne mahsus kiya hi tha tujhe aaj ki sham
jo hui raat to palkon pe sitare nikle
mujh mein ek roz koi qatl hua tha aur phir
meri aankhon se bahut KHun ke dhaare nikle
main ne socha tha ki nam-KHurda hai meri miTTi
chhu ke dekha to tah-e-KHak sharare nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.