aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak
aasrā harf-e-duā ġham se mafar hone tak
sabr bhī chāhiye ab us meñ asar hone tak
gar baqā kī hai tamannā to fanā kar ḳhud ko
biij sahtā hai sitam kitne shajar hone tak
rab kī taḳhlīq pe añgusht-ba-dandāñ haiñ malak
marhale dekh le miTTī se bashar hone tak
baḳhiya-gar chāk-e-garebāñ kī ho tadbīr koī
huuñ tirī dast-nigar apnā hunar hone tak
ishq meñ bar-sar-e-paikār ḳhirad aur junūñ
marg be-maut hai ab ma.arka sar hone tak
vo tirī yaad ke aañsū the jo bahne na diye
chashm vīrāñ meñ ruke shahr-badar hone tak
maiñ bhī ban jā.ūñ shab-e-ġham koī nanhā bachcha
jo ki kho jaatā hai ḳhvāboñ meñ sahar hone tak
the jigar qalb-o-nazar zād-e-safar jab 'shāzī'
ḳhauf-e-tanhā.ī thā kyuuñ izn-e-safar hone tak
aasra harf-e-dua gham se mafar hone tak
sabr bhi chahiye ab us mein asar hone tak
gar baqa ki hai tamanna to fana kar KHud ko
bij sahta hai sitam kitne shajar hone tak
rab ki taKHliq pe angusht-ba-dandan hain malak
marhale dekh le miTTi se bashar hone tak
baKHiya-gar chaak-e-gareban ki ho tadbir koi
hun teri dast-nigar apna hunar hone tak
ishq mein bar-sar-e-paikar KHirad aur junun
marg be-maut hai ab marka sar hone tak
wo teri yaad ke aansu the jo bahne na diye
chashm viran mein ruke shahr-badar hone tak
main bhi ban jaun shab-e-gham koi nanha bachcha
jo ki kho jata hai KHwabon mein sahar hone tak
the jigar qalb-o-nazar zad-e-safar jab 'shazi'
KHauf-e-tanhai tha kyun izn-e-safar hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.