aastane lahu mein tar dekhe
āstāne lahū meñ tar dekhe
ibn-e-mariyam salīb par dekhe
ye karishma hai dair-o-ka.aba kā
jalte ātish baġhair ghar dekhe
dekhī taqdīs nāchte uryāñ
hañste us par haram ke dar dekhe
sham.a roī na hashr-e-mahfil par
luTte jazbāt tā-sahar dekhe
phuul masle ga.e aqīdat ke
jalve mahmil ke dar-ba-dar dekhe
chashm-e-ibrat meñ paḌ ga.e kāñTe
dekhne vaale be-basar dekhe
paañv uThte nahīñ musāfir ke
saañp kī tarah rahguzar dekhe
ham ko nisbat na ho sikandar se
ham bhaTakte raheñ ḳhizar dekhe
'baḳht' Duubā kuchh is tarah sāhil
chashm-e-barbād se bhañvar dekhe
aastane lahu mein tar dekhe
ibn-e-mariyam salib par dekhe
ye karishma hai dair-o-kaba ka
jalte aatish baghair ghar dekhe
dekhi taqdis nachte uryan
hanste us par haram ke dar dekhe
shama roi na hashr-e-mahfil par
luTte jazbaat ta-sahar dekhe
phul masle gae aqidat ke
jalwe mahmil ke dar-ba-dar dekhe
chashm-e-ibrat mein paD gae kanTe
dekhne wale be-basar dekhe
panw uThte nahin musafir ke
sanp ki tarah rahguzar dekhe
hum ko nisbat na ho sikandar se
hum bhaTakte rahen KHizar dekhe
'baKHt' Duba kuchh is tarah sahil
chashm-e-barbaad se bhanwar dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.