aastinon mein koi KHanjar nahin
āstīnoñ meñ koī ḳhanjar nahīñ
amn kā phir bhī yahāñ manzar nahīñ
apne virse kī sadāqat chāhiye
ḳhuun meñ Duubā huā manzar nahīñ
zindagī maiñ ne guzārī hai jahāñ
bhed ab jā kar khulā vo ghar nahīñ
dushman-e-jāñ hai to bas merī anā
dushmanān-e-vaqt kā lashkar nahīñ
gar yaqīñ kī mash.aleñ hāthoñ meñ hoñ
raat kī tārīkiyoñ se Dar nahīñ
dostī meñ hijr to manzūr hai
dostī ke naam par ḳhanjar nahīñ
log gūñge ho ga.e 'ādil-hayāt'
ruuh jaise jism ke andar nahīñ
aastinon mein koi KHanjar nahin
amn ka phir bhi yahan manzar nahin
apne wirse ki sadaqat chahiye
KHun mein Duba hua manzar nahin
zindagi main ne guzari hai jahan
bhed ab ja kar khula wo ghar nahin
dushman-e-jaan hai to bas meri ana
dushmanan-e-waqt ka lashkar nahin
gar yaqin ki mashalen hathon mein hon
raat ki tarikiyon se Dar nahin
dosti mein hijr to manzur hai
dosti ke nam par KHanjar nahin
log gunge ho gae 'adil-hayat'
ruh jaise jism ke andar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.