aastinon se KHanjar gira do
āstīnoñ se ḳhanjar girā do
shāḳh-e-zaitūn har-sū ugā do
sharm aatī hai ab to ye kahte
aadmī aadmī ko banā do
rūh-e-insāniyat muztarib hai
vaqt ke zālimoñ ko sazā do
āhaTeñ yaas kī aa rahī haiñ
sāz-e-ummīd kī lai baḌhā do
aa.ine sab jilā kho chuke haiñ
ab faremoñ meñ patthar sajā do
chhā chuke haiñ jo qalb-o-nazar par
un añdheroñ ko 'tābish' miTā do
aastinon se KHanjar gira do
shaKH-e-zaitun har-su uga do
sharm aati hai ab to ye kahte
aadmi aadmi ko bana do
ruh-e-insaniyat muztarib hai
waqt ke zalimon ko saza do
aahaTen yas ki aa rahi hain
saz-e-ummid ki lai baDha do
aaine sab jila kho chuke hain
ab faremon mein patthar saja do
chha chuke hain jo qalb-o-nazar par
un andheron ko 'tabish' miTa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.