aasudgan-e-hijr se milne ki chah mein
āsūdgān-e-hijr se milne kī chaah meñ
koī faqīr baiThā hai sahrā kī raah meñ
phir yuuñ huā ki shauq se kholī na maiñ ne aañkh
ik ḳhvāb aa gayā thā mirī ḳhvāb-gāh meñ
is baar kitnī der yahāñ huuñ ḳhabar nahīñ
aa to gayā huuñ phir se tirī bārgāh meñ
phir kār-e-zindagī ne mujhe chhoḌnā nahīñ
kuchh din yahīñ guzār luuñ apnī panāh meñ
yāroñ ne aa ke jaan bachā.ī mirī ki maiñ
ḳhud se ulajh paḌā thā yūñhī ḳhvāh-maḳhvāh maiñ
aasudgan-e-hijr se milne ki chah mein
koi faqir baiTha hai sahra ki rah mein
phir yun hua ki shauq se kholi na main ne aankh
ek KHwab aa gaya tha meri KHwab-gah mein
is bar kitni der yahan hun KHabar nahin
aa to gaya hun phir se teri bargah mein
phir kar-e-zindagi ne mujhe chhoDna nahin
kuchh din yahin guzar lun apni panah mein
yaron ne aa ke jaan bachai meri ki main
KHud se ulajh paDa tha yunhi KHwah-maKHwah main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.