aata hai koi lutf ka saman liye hue
aatā hai koī lutf kā sāmāñ liye hue
hoshiyār ai ḳhayāl-e-pareshāñ liye hue
us se na iztirāb-e-mohabbat ko pochhiye
jo jī rahā ho dard kā ehsāñ liye hue
bechain karvaToñ se ye zāhir hai saaf saaf
pinhāñ hī dil meñ hai ġham-e-pinhāñ liye hue
aata hai koi lutf ka saman liye hue
hoshiyar ai KHayal-e-pareshan liye hue
us se na iztirab-e-mohabbat ko pochhiye
jo ji raha ho dard ka ehsan liye hue
bechain karwaTon se ye zahir hai saf saf
pinhan hi dil mein hai gham-e-pinhan liye hue
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 99)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.