aata hai nazar aur hi manzar hai koi aur
aatā hai nazar aur hī manzar hai koī aur
kyā mahv-e-tamāshā mire andar hai koī aur
tabdīl huī kaise har ik ghar kī virāsat
dar par hai koī naam pas-e-dar hai koī aur
nazzāra kahāñ aisā kisī dasht meñ dekhā
paañv to kisī ke haiñ magar sar hai koī aur
uljhī hai magar tishna-labī tishna-labī se
ye baat alag hai ki samundar hai koī aur
aata hai nazar aur hi manzar hai koi aur
kya mahw-e-tamasha mere andar hai koi aur
tabdil hui kaise har ek ghar ki wirasat
dar par hai koi nam pas-e-dar hai koi aur
nazzara kahan aisa kisi dasht mein dekha
panw to kisi ke hain magar sar hai koi aur
uljhi hai magar tishna-labi tishna-labi se
ye baat alag hai ki samundar hai koi aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.