har subh aawta hai teri barabari ko
har sub.h aavtā hai terī barābarī ko
kyā din lage haiñ dekho ḳhurshīd-e-ḳhāvarī ko
dil mārne kā nusḳha pahuñchā hai āshiqoñ tak
kyā koī jāntā hai is kīmiyā-garī ko
us tund-ḳhū sanam se milne lagā huuñ jab se
har koī jāntā hai merī dilāvarī ko
apnī fusūñ-garī se ab ham to haar baiThe
bād-e-sabā ye kahnā us dilrubā parī ko
ab ḳhvāb meñ ham us kī sūrat ko haiñ taraste
ai aarzū huā kyā baḳhtoñ kī yāvarī ko
har subh aawta hai teri barabari ko
kya din lage hain dekho KHurshid-e-KHawari ko
dil marne ka nusKHa pahuncha hai aashiqon tak
kya koi jaanta hai is kimiya-gari ko
us tund-KHu sanam se milne laga hun jab se
har koi jaanta hai meri dilawari ko
apni fusun-gari se ab hum to haar baiThe
baad-e-saba ye kahna us dilruba pari ko
ab KHwab mein hum us ki surat ko hain taraste
ai aarzu hua kya baKHton ki yawari ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.