aata hun jab us gali se sau sau KHwari khinch kar
aatā huuñ jab us galī se sau sau ḳhvārī khīñch kar
phir vahīñ le jaa.e mujh ko be-qarārī khīñch kar
pahuñchā hai ab to nihāyat ko hamārā hāl-e-zār
lā use jis-tis tarah tāsīr-e-zārī khīñch kar
koh-e-ġham rakhtī hai dil par is ḳhirām-e-nāz se
ḳhajlat-e-raftār-e-kabk-e-kohsārī khīñch kar
kis ke shor-e-ishq se yuuñ rotā rahtā hai sadā
naala o fariyād ye abr-e-bahārī khīñch kar
bāñdhūñ huuñ vārastagī kā dil meñ apne jab ḳhayāl
bāñdh le jaa.eñ hameñ zulfeñ tumhārī khīñch kar
kal jo tū ghar se na niklā uTh gayā kar ke duā
sub.h se tā-shām maiñ kyā intizārī khīñch kar
gāliyāñ de maar le yā qatl kar muḳhtār hai
laa.ī ab to yaañ mujhe be-iḳhtiyārī khīñch kar
sāqiyā paiham pilā de mujh ko mālā-māl jaam
aayā huuñ yaañ maiñ azāb-e-hoshyārī khīñch kar
'hasrat' us kī bazm ke jaane se rakh mujh ko muaaf
muft meñ ro.egā vaañ se sharmsārī khīñch kar
aata hun jab us gali se sau sau KHwari khinch kar
phir wahin le jae mujh ko be-qarari khinch kar
pahuncha hai ab to nihayat ko hamara haal-e-zar
la use jis-tis tarah tasir-e-zari khinch kar
koh-e-gham rakhti hai dil par is KHiram-e-naz se
KHajlat-e-raftar-e-kabk-e-kohsari khinch kar
kis ke shor-e-ishq se yun rota rahta hai sada
nala o fariyaad ye abr-e-bahaari khinch kar
bandhun hun warastagi ka dil mein apne jab KHayal
bandh le jaen hamein zulfen tumhaari khinch kar
kal jo tu ghar se na nikla uTh gaya kar ke dua
subh se ta-sham main kya intizari khinch kar
galiyan de mar le ya qatl kar muKHtar hai
lai ab to yan mujhe be-iKHtiyari khinch kar
saqiya paiham pila de mujh ko mala-mal jam
aaya hun yan main azab-e-hoshyari khinch kar
'hasrat' us ki bazm ke jaane se rakh mujh ko muaf
muft mein roega wan se sharmsari khinch kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.