aata nahin hai ab kisi dam-saz ka KHayal
aatā nahīñ hai ab kisī dam-sāz kā ḳhayāl
dil meñ basā gayā vo is andāz kā ḳhayāl
aksar vo us kī chashm-e-fusūñ-sāz kā ḳhayāl
tā-der phir vo hasrat-e-parvāz kā ḳhayāl
ehsās-e-dard-o-ġham se zyāda hai mo'atabar
us dil-navāz sāhib-e-ejāz kā ḳhayāl
kyā jaane fart-e-shauq meñ kis dam pukār le
ab ham haiñ aur dost kī āvāz kā ḳhayāl
tārīkiyoñ kī samt na jaane diyā kabhī
ḳhurshīd ban gayā nigah-e-nāz kā ḳhayāl
vo ḳhud bulandiyoñ kī hadeñ toḌte nahīñ
un ko hai merī tāqat-e-parvāz kā ḳhayāl
jī chāhtā hai jā.iye phir rāh-e-shauq meñ
aane lagā hai phir kisī hamrāz kā ḳhayāl
tauqīr paa.ī jis ke sabab se 'rabāb' ne
rakkhā nahīñ us apnī tag-o-tāz kā ḳhayāl
aata nahin hai ab kisi dam-saz ka KHayal
dil mein basa gaya wo is andaz ka KHayal
aksar wo us ki chashm-e-fusun-saz ka KHayal
ta-der phir wo hasrat-e-parwaz ka KHayal
ehsas-e-dard-o-gham se zyaada hai mo'atabar
us dil-nawaz sahib-e-ejaz ka KHayal
kya jaane fart-e-shauq mein kis dam pukar le
ab hum hain aur dost ki aawaz ka KHayal
tarikiyon ki samt na jaane diya kabhi
KHurshid ban gaya nigah-e-naz ka KHayal
wo KHud bulandiyon ki haden toDte nahin
un ko hai meri taqat-e-parwaz ka KHayal
ji chahta hai jaiye phir rah-e-shauq mein
aane laga hai phir kisi hamraaz ka KHayal
tauqir pai jis ke sabab se 'rabab' ne
rakkha nahin us apni tag-o-taz ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.