aate jate hue har shaKHs ko takte kyon ho
aate jaate hue har shaḳhs ko takte kyoñ ho
gunjlak haiñ sabhī tahrīreñ to paḌhte kyoñ ho
sirf sannāTā vahāñ raah takā kartā hai
be-sabab shaam se hī ghar ko palaTte kyoñ ho
ye nahīñ gaañv ki har shaḳhs ḳhulūs-āgīñ ho
shahr meñ rah ke banāvaT se bidakte kyoñ ho
aate jate hue har shaKHs ko takte kyon ho
gunjlak hain sabhi tahriren to paDhte kyon ho
sirf sannaTa wahan rah taka karta hai
be-sabab sham se hi ghar ko palaTte kyon ho
ye nahin ganw ki har shaKHs KHulus-agin ho
shahr mein rah ke banawaT se bidakte kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.