aate jate log hamein kyun dost purane lagte hain
aate jaate log hameñ kyuuñ dost purāne lagte haiñ
chāhat kī is had par yārab ham to divāne lagte hai
sunñe vaalā koī agar hotā kahte dil kī bātoñ ko
us ke binā to aaj adhūre apne fasāne lagte haiñ
phir se bahāreñ le kar aa.ī mahkī huī sī yādoñ ko
aa bhī jaao ab milne ke achchhe bahāne lagte haiñ
dil kartā hai phir se dekhūñ kho.e hue us manzar ko
pyāsī āñkho ko vo nazāre kitne suhāne lagte haiñ
ḳhushbū vahī hai rañg vahī hai aaj vafā ke phūloñ kā
aap kyā aa.e phir se chaman meñ din vo purāne lagte haiñ
TuuTī huī sī ek 'kiran' hai kaafī añdhere vāloñ ko
ghar meñ ujālā DhūñDhne vaale ghar ko sajāne lagte hai
aate jate log hamein kyun dost purane lagte hain
chahat ki is had par yarab hum to diwane lagte hai
sunne wala koi agar hota kahte dil ki baaton ko
us ke bina to aaj adhure apne fasane lagte hain
phir se bahaaren le kar aai mahki hui si yaadon ko
aa bhi jao ab milne ke achchhe bahane lagte hain
dil karta hai phir se dekhun khoe hue us manzar ko
pyasi aankho ko wo nazare kitne suhane lagte hain
KHushbu wahi hai rang wahi hai aaj wafa ke phulon ka
aap kya aae phir se chaman mein din wo purane lagte hain
TuTi hui si ek 'kiran' hai kafi andhere walon ko
ghar mein ujala DhunDhne wale ghar ko sajaane lagte hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.