aate jate logon ko hum dekh rahe hain barson se
aate jaate logoñ ko ham dekh rahe haiñ barsoñ se
kuchh to apne hī Thahre haiñ kuchh lagte haiñ apnoñ se
āvāra be-samt havā.eñ āḳhir pahuñchīñ bādal tak
dhuul ke chehroñ ko dho.eñ ab qaus-e-quzah ke rangoñ se
saarī buniyādoñ kā hāsil dil ko masarrat denā thā
lekin ek alamiya hai ye dil kā nikalnā sīnoñ se
mīnāroñ par chaḌh ke yuuñ to ḳhud ko ūñchā kar loge
lekin kyā bach pāoge tum choñch pasāre chīloñ se
parbat-lok ko muusā dauḌe aur kashtī ko hazrat-e-nūh
jab bhī niklī paglī ḳhushbū nāhaq ḳhuun ke chhīñToñ se
TuuTe phūTe ḳhvāboñ ko ham joḌne baiThe hī the 'qaus'
piiTh lagā ki phaT jā.egī kuchh anjāne bojhoñ se
aate jate logon ko hum dekh rahe hain barson se
kuchh to apne hi Thahre hain kuchh lagte hain apnon se
aawara be-samt hawaen aaKHir pahunchin baadal tak
dhul ke chehron ko dhoen ab qaus-e-quzah ke rangon se
sari buniyaadon ka hasil dil ko masarrat dena tha
lekin ek alamiya hai ye dil ka nikalna sinon se
minaron par chaDh ke yun to KHud ko uncha kar loge
lekin kya bach paoge tum chonch pasare chilon se
parbat-lok ko musa dauDe aur kashti ko hazrat-e-nuh
jab bhi nikli pagli KHushbu nahaq KHun ke chhinTon se
TuTe phuTe KHwabon ko hum joDne baiThe hi the 'qaus'
piTh laga ki phaT jaegi kuchh anjaane bojhon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.