aati hai aawaz yahi ab dil ke har ek kone se
aatī hai āvāz yahī ab dil ke har ik kone se
man ke mail nahīñ jaate haiñ tan mal mal kar dhone se
himmat ho gar man meñ to phir nā-mumkin bhī mumkin hai
kab mushkil kā hal miltā hai palkeñ roz bhigone se
mujh se ziyāda vaqt bhalā kyoñ bansī bairan paatī hai
pūchh rahī hai rādhā pyārī apne shyām salone se
jaisī karnī vaisī bharnī riit chalī ye aa.ī hai
'aam nahīñ ugte haiñ pyāre biij babūl ke bone se
nafrat kā ye daur nahīñ ab chalne deñge bhārat meñ
uThne do āvāz yahī ab jag ke kone kone se
'ishq mohabbat pyaar vafā sab be-mā’nī sī bāteñ haiñ
duur rakhā kar 'hīrā' ḳhud ko aise jādū-Tone se
aati hai aawaz yahi ab dil ke har ek kone se
man ke mail nahin jate hain tan mal mal kar dhone se
himmat ho gar man mein to phir na-mumkin bhi mumkin hai
kab mushkil ka hal milta hai palken roz bhigone se
mujh se ziyaada waqt bhala kyon bansi bairan pati hai
puchh rahi hai radha pyari apne shyam salone se
jaisi karni waisi bharni rit chali ye aai hai
'am nahin ugte hain pyare bij babul ke bone se
nafrat ka ye daur nahin ab chalne denge bhaarat mein
uThne do aawaz yahi ab jag ke kone kone se
'ishq mohabbat pyar wafa sab be-ma’ni si baaten hain
dur rakha kar 'hira' KHud ko aise jadu-Tone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.