aati hai bar bar yahi baat dhyan mein
aatī hai baar baar yahī baat dhyān meñ
jaane vo kis ke saath meñ hogā jahān meñ
tum jis adā se haath jhaTak kar hue judā
kangan tumhārā aaj bhī bajtā hai kaan meñ
jaise sadā.eñ de ke uThātī ho vo mujhe
āvāz terī ab bhī hai mere makān meñ
pankhe se laTkā huuñ kabhī paTrī pai huuñ paḌā
aatā hai roz-o-shab mire kyā kyā dhiyān meñ
sahrā-navard ham bhī the kis darja hijr meñ
haiñ bād-e-vasl-e-yār bhī ab tak thakān meñ
har imtihāñ se qabl ye jazba banā rahā
avval to ham hī ā.eñge is imtihān meñ
karnā muaaf ḳhāmī zabān-o-bayān kī
shā.ir huuñ pahlā urdu kā maiñ ḳhāndān meñ
aati hai bar bar yahi baat dhyan mein
jaane wo kis ke sath mein hoga jahan mein
tum jis ada se hath jhaTak kar hue juda
kangan tumhaara aaj bhi bajta hai kan mein
jaise sadaen de ke uThati ho wo mujhe
aawaz teri ab bhi hai mere makan mein
pankhe se laTka hun kabhi paTri pai hun paDa
aata hai roz-o-shab mere kya kya dhiyan mein
sahra-naward hum bhi the kis darja hijr mein
hain baad-e-wasl-e-yar bhi ab tak thakan mein
har imtihan se qabl ye jazba bana raha
awwal to hum hi aaenge is imtihan mein
karna muaf KHami zaban-o-bayan ki
shair hun pahla urdu ka main KHandan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.