aati jati sans kaise tere gham se man gai
aatī jaatī saañs kaise tere ġham se man ga.ī
kyā batā.eñ zindagī ḳhud-raftagī kyuuñ ban ga.ī
baat bhī sah leñ kisī kī ab kahāñ itnā dimāġh
tum se rūThe the laḌā.ī dūsroñ se Than ga.ī
kāġhazoñ se maiñ tirā uryāñ badan dhakne lagā
jo bachā rakkhī thī ab tak vo matā-e-fan ga.ī
reza reza chāñd palkoñ kī chaTānoñ par milā
raat kaale ġham kī aise jhaaḌ kar dāman ga.ī
roz-o-shab kī ye masāfat jaane kab hogī tamām
phir havā le kar hamāre jism kā īñdhan ga.ī
aati jati sans kaise tere gham se man gai
kya bataen zindagi KHud-raftagi kyun ban gai
baat bhi sah len kisi ki ab kahan itna dimagh
tum se ruThe the laDai dusron se Than gai
kaghazon se main tera uryan badan dhakne laga
jo bacha rakkhi thi ab tak wo mata-e-fan gai
reza reza chand palkon ki chaTanon par mila
raat kale gham ki aise jhaD kar daman gai
roz-o-shab ki ye masafat jaane kab hogi tamam
phir hawa le kar hamare jism ka indhan gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.