aati na agar kaam mere dar-ba-dari bhi
aatī na agar kaam mire dar-ba-darī bhī
maiñ tark na kar detā vahīñ ham-safarī bhī
hairān huuñ duniyā ke talab-gāroñ pe kyā kyā
bhātī hai bhalā kis ko nirī dard-e-sarī bhī
nairangī-e-duniyā kī ḳhabar ḳhaak ki mujh ko
ḳhālī hī nazar aatī hai botal ye bharī bhī
kyā ab bhī mirī aah sar-e-'arsh na pahuñchī
kyā phir se ga.ī saath vahī be-asarī bhī
ik maiñ hī ḳhabar-gīr nahīñ hālat-e-dil kā
halkān to rahtī hai bahut be-ḳhabarī bhī
phir jā ke kahīñ zaḳhm ginā zaḳhm barābar
āmāda huī daad pe jab baḳhiya-garī bhī
hālāñki malangoñ kī tarah ziist guzārī
aaseb kā saaya bhī rahā bad-nazarī bhī
suljhī hī nahīñ ramz-o-kināyāt kī ġhutthī
aatī hai nazar ḳhvāb meñ ḳhushkī bhī tarī bhī
masjūd-e-malā.ik to yaqīnan thā abhī tak
insān meñ hotī na agar jānvarī bhī
kyā ye bhī koī baat hai 'tāsif' ki hamesha
le jaa.e junūñ saath lagā kar vo parī bhī
aati na agar kaam mere dar-ba-dari bhi
main tark na kar deta wahin ham-safari bhi
hairan hun duniya ke talab-garon pe kya kya
bhati hai bhala kis ko niri dard-e-sari bhi
nairangi-e-duniya ki KHabar KHak ki mujh ko
KHali hi nazar aati hai botal ye bhari bhi
kya ab bhi meri aah sar-e-'arsh na pahunchi
kya phir se gai sath wahi be-asari bhi
ek main hi KHabar-gir nahin haalat-e-dil ka
halkan to rahti hai bahut be-KHabari bhi
phir ja ke kahin zaKHm gina zaKHm barabar
aamada hui dad pe jab baKHiya-gari bhi
haalanki malangon ki tarah zist guzari
aaseb ka saya bhi raha bad-nazari bhi
suljhi hi nahin ramz-o-kinayat ki ghutthi
aati hai nazar KHwab mein KHushki bhi tari bhi
masjud-e-malaik to yaqinan tha abhi tak
insan mein hoti na agar jaanwari bhi
kya ye bhi koi baat hai 'tasif' ki hamesha
le jae junun sath laga kar wo pari bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.