aati nahin hai manzil-e-dar-o-rasan abhi
aatī nahīñ hai manzil-e-dār-o-rasan abhī
phir bhī chalā huuñ bāñdh ke sar se kafan abhī
sahrā-navardiyāñ haiñ na sair-e-chaman abhī
shāyad junūñ se duur hai zauq-e-vatan abhī
saa.e meñ huuñ maiñ kyā shajar-e-sāya-dār ke
har qasr mere haal pe hai ḳhanda-zan abhī
ye baat kyā ki uqda-e-mushkil na khul sake
pahuñchā nahīñ uruuj pe dīvāna-pan abhī
mahfil meñ chheḌ-chhāḌ patango ye be-mahal
hai vaqf-e-girya sham.a sar-e-anjuman abhī
ham sun sake na qulqul-e-mīnā ke shor meñ
kuchh kah rahā thā sāġhar-e-tauba-shikan abhī
tasvīr se kisī kī 'musavvir' hai ham-kalām
tham jā zarā tū gardish-e-charḳh-e-kuhan abhī
aati nahin hai manzil-e-dar-o-rasan abhi
phir bhi chala hun bandh ke sar se kafan abhi
sahra-nawardiyan hain na sair-e-chaman abhi
shayad junun se dur hai zauq-e-watan abhi
sae mein hun main kya shajar-e-saya-dar ke
har qasr mere haal pe hai KHanda-zan abhi
ye baat kya ki uqda-e-mushkil na khul sake
pahuncha nahin uruj pe diwana-pan abhi
mahfil mein chheD-chhaD patango ye be-mahal
hai waqf-e-girya shama sar-e-anjuman abhi
hum sun sake na qulqul-e-mina ke shor mein
kuchh kah raha tha saghar-e-tauba-shikan abhi
taswir se kisi ki 'musawwir' hai ham-kalam
tham ja zara tu gardish-e-charKH-e-kuhan abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.