aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki
aatī thī pahle dil se kabhī bū kabāb kī
raushan hai ab to siine meñ bhaTTī sharāb kī
itnā itaab surḳh hai rañgat naqāb kī
tār-e-naqāb haiñ ki nigāheñ itaab kī
dekhe koī jhalak na ruḳh-e-lā-javāb kī
sattar hazār pardoñ meñ Thahrī hijāb kī
kyuuñ hashr meñ ho fikr azāb-o-savāb kī
sohbat hai ye bhī ek sharāb-o-kabāb kī
kahte haiñ va.ada raat ko hogā vafā zarūr
allāh jald shaam ho roz-e-hisāb kī
bijlī vo chiiz hī nahīñ jis se hasīñ Dareñ
kuchh dard kī chamak hai jhalak iztirāb kī
vo shām-o-sub.h sadqe ho jin par bahār-e-gul
chun chun ke saath laa.e haiñ rāteñ shabāb kī
jannat ke ḳhvāb dekh ke aatī haiñ ham ko yaad
rindāna sohbateñ vo kabāb-o-shabāb kī
ā.īna dekhte haiñ mujhe dekh dekh kar
ye daad mil rahī hai mire intiḳhāb kī
le apne sar vabāl na auroñ kā hashr meñ
bār-e-gunah uThā.e na mīzāñ hisāb kī
ai taur soz-e-barq samajhte haiñ ham tujhe
tujh meñ to shoḳhiyāñ haiñ kisī ke hijāb kī
da.ave hai hamsarī kā sar-e-kaj-kulāh se
ai dast-e-mauj utaar le Topī habāb kī
bijlī girā.eñ tuur par āvāz hī se vo
Thahre kabhī to ham se savāl-o-javāb kī
phir bhī to kuchh sabāt ko us ke zarar nahīñ
ulTī ravāñ hai bahr meñ kashtī habāb kī
mai se kahīñ sivā hai pas-e-tauba mai-kasho
aa jaa.e duur hī se kahīñ bū sharāb kī
so hashr nazr-e-gosha-e-dāmāñ haiñ har-nafas
ai shauq-e-dīd had hī nahīñ iztirāb kī
talḳhī kā naza.a kī to kuchh ehsās ho sake
itnī to mere muñh meñ ho talḳhī sharāb kī
tum kyā ho ham ne qulqul-e-mīnā se vā.izo
bāteñ bahut sunī haiñ azāb-o-savāb kī
daur-e-mai-e-kuhan kā asar hai ye ai 'riyāz'
hai aaj bhī javān tabī.at janāb kī
aati thi pahle dil se kabhi bu kabab ki
raushan hai ab to sine mein bhaTTi sharab ki
itna itab surKH hai rangat naqab ki
tar-e-naqab hain ki nigahen itab ki
dekhe koi jhalak na ruKH-e-la-jawab ki
sattar hazar pardon mein Thahri hijab ki
kyun hashr mein ho fikr azab-o-sawab ki
sohbat hai ye bhi ek sharab-o-kabab ki
kahte hain wada raat ko hoga wafa zarur
allah jald sham ho roz-e-hisab ki
bijli wo chiz hi nahin jis se hasin Daren
kuchh dard ki chamak hai jhalak iztirab ki
wo sham-o-subh sadqe ho jin par bahaar-e-gul
chun chun ke sath lae hain raaten shabab ki
jannat ke KHwab dekh ke aati hain hum ko yaad
rindana sohbaten wo kabab-o-shabab ki
aaina dekhte hain mujhe dekh dekh kar
ye dad mil rahi hai mere intiKHab ki
le apne sar wabaal na auron ka hashr mein
bar-e-gunah uThae na mizan hisab ki
ai taur soz-e-barq samajhte hain hum tujhe
tujh mein to shoKHiyan hain kisi ke hijab ki
dawe hai hamsari ka sar-e-kaj-kulah se
ai dast-e-mauj utar le Topi habab ki
bijli giraen tur par aawaz hi se wo
Thahre kabhi to hum se sawal-o-jawab ki
phir bhi to kuchh sabaat ko us ke zarar nahin
ulTi rawan hai bahr mein kashti habab ki
mai se kahin siwa hai pas-e-tauba mai-kasho
aa jae dur hi se kahin bu sharab ki
so hashr nazr-e-gosha-e-daman hain har-nafas
ai shauq-e-did had hi nahin iztirab ki
talKHi ka naza ki to kuchh ehsas ho sake
itni to mere munh mein ho talKHi sharab ki
tum kya ho hum ne qulqul-e-mina se waizo
baaten bahut suni hain azab-o-sawab ki
daur-e-mai-e-kuhan ka asar hai ye ai 'riyaz'
hai aaj bhi jawan tabiat janab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.